eik choti see dua hai ap key naam…………
Itni si dua hai k anay wala har lamha
Haseen chahta hoon k phool bakhshay urooj bakhshay
Tumhari Duniya main roshani ho
Tumhari mehfil main khushiaan houn
Tumhare hounton par muskurahat ho
Kabhi bhi tum tak dukhoun ki dastak na pohanch paye
Tumhari aankhoun main jo sitare chamak rahay hain
Yun hee chamaktay rahain hamesha
Tumhare DiL tak Judayion, Bewafayion ki andheri kiran na pohanchay
Khuda karey k, har DiL ka qarar luto
Magar, tumhari har ik tammanna har ik khuwaish
Tumhare hounton tak aatay aatay
Tumhare qadmoun tak aa pohanchay
Jo ho sakay to tumhare hissay k sabhi Gamo ko
Main apnay ander utaar loun
Ye mumkin to nahin lakin DuA to mera haq hai
Ye Mukhtasar Dua ka tohfa sambhaal rakhna
Mere andheroun ki fikar choro
Tum bas apna khayal rakhna
Leave a Reply