Dhoop ko saaya Zameen ko Aasmaan karti hai maa,
Haath rakhkar mere sarr pe saiban ( Duwaen) karti hai maa…
Meri Khwahish meri zidd uske kadmo me kurbaan,
Haa ki gunjaesh naa ho to phirbhi haa karti hai maa…..
Dishaon ko badlo, kinare badal jaayenge
Soch ko badlo, sitare badal jaayenge…
Najar ko badlo, najare badal jaayenge…
Kashtiya badalne ki zururat nahi…
Dishaon ko badlo, kinare badal jaayenge…
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain
Shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
Har hasrat lekin bezubaan aaj bhi hai
Manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
Rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain!!
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
Har lakeer ko ussi taraf mod dete
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
Har lakeer ko ussi taraf mod dete.
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Na dil me mael aur na chehre pe mukhote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Sun le koi mere dil ki thodi si daastaan
Waqt kisi ke paas itna bhi aaj kahan
Sine se laga lete the daud kar sabhi
Pehle kabhi jab hum jab chhoti si baat pe rote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Ab to pyar dekar bhi mohabbat nahi milti
Waqt to milta hai magar fursat nahi milti
Ek raatein hain ye jo neendo se naata hi tod chuke
Ek din the wo jab hum bade sukuun se sote the
Kitni masum thi zindagi jab hum chhote the
Haathon ki lakeeron per khabhi bharosa nahin karna
Haathon ki lakeeron per khabhi bharosa nahin karna kyun ke,
Taqdeer tau unki bhi hoti hai jin ke haath nahin hotey!