Ek teri khushboo bhi hamein tadpaati rahi.Jab bhi kari koshish tujhe bhulane ki,To yaad teri dilaati rahi
Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota
Pilaana farz tha to kuch bhi pila diya hota
Sharaab kam tha to paani mila diya hota
Agar zuban pe sharm-o-haya ka pehra tha
To muskura kar sar hi hila diya hota
Log peete hai sharab mehkhane ja ja kar
Log peete hai sharab mehkhane ja ja kar,
pee hai jo do pal mein utar jayegi,
humne to pee hai apne mehboob ki aankho se,
jo umar bhar naa utar payegi.
Jaam tutne ka bahana na kar
Jaam tutne ka bahana na kar
Ham to teri aakhon se bhi pi lenge
Tu mat aa, par aane ka waada to kar,
Hum tere intezaar mein hi ji lenge.
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi
Raat gumsum hai magar chan khamosh nahi,
Kaise keh du aaj fir hosh nahi.
Aisa duba teri aakho ki gehrai main,
Haath mein jam hai magar pine ka hosh nahi.
Yahan botolon mein sab bhara hai
Priye gaaon mere tu chal
Tere shahar mein kya dhara hai
Wahan boli mein sehad hai
Yahan botolon mein sab bhara hai
Nasha hum karte hai
Nasha hum karte hai
Ilzaam sharab ko diya jata hai
Par isme kusoor sharab ka nahi unka hai
Jinka chehra hamein har jaam mein nazar aata hai
Aye sharabi tu peeta jaa
Aye sharabi tu peeta jaa,
Tere paimaane main aaj dariya hai,
asar tere nashe ka dekhenge hum,
Tere peene ka aaj nazariya hai,
tujh pe yeh ilzaam hai hoosh walon se,
Ki tu be-khabar madhosh dewaana hai,
aa sharabi pee ke sach bole ja,
tere haathon main aaj maikhana hai.
Jaam say jaam aaj tu takra le
Jaam say jaam aaj tu takra le
ankhon say chalki hoton say laga le
Saaki se kah do ki may me ab wo baat na rahi
Saaki se kah do ki may me ab wo baat na rahi,
jab se nigaaho se pee hai botal ki yaad na rahi,
behosh kaun karta hai ye to waqt hi batayega,
par jaam me ab unki nigaaho si kaaynaat na rahi.
Wo roj jaate hai maikhaane mein
Wo roj jaate hai maikhaane mein
Jinko ranjo-gum ne jakdaa hai
Gark ho kar madiraa mein
Zaalim ne khanjar pakdaa hai