* Tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai,
Tujhe alag se jo sochun ajeeb lagta hai ?
* Jisey na husn se matlab na ishq se sarokaar,
Vo shaksh mujh ko bahut bad-naseeb lagta hai ?
* Hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara,
Na koi Ghair na koi raqeeb lagta hai ?
* Ye dosti ye maraasim ye chahaten ye khulus,
Kabhi kabhi ye sab kuch ajeeb lagta hai ?
* Ufaq pe duur chamakta huwa koi taara,
Mujhe charaagh-e-daya ar-e-habeeb lagta hai ?
* Na jaane kab koi toofan aaye gayaaron,
Buland mauj se saahil qareeb lagta hai ?
=======I LOVE YOU=======
!!?!! More than my self… !!?!!
Leave a Reply