Yaad karne ke leeye koi cheez chahiye,
Aap nahin to aapki tasvir chahiye,
Tasvir aapki hamara dil behla na sakegi,
Kyonki yeh aapki tarah muskura na sakegi
Sitare bikhar jaaye aapki muskurahat dekh kar
Sitare bikhar jaaye aapki muskurahat dekh kar,
Jaise shabnam pighal jaaye aftab dekh kar,
Ab aapki kya tarif karun,
Khuda bhi khubsurti ko samja aapko dekh kar
Lahrein aatee hain kinaro main simat jaatee hain
Lahrein aatee hain kinaro main simat jaatee hain,
Teri yaad aatee hain dil main simat jaatee hain..
Lahro aur yaad main bus itna fark hain,
Ki lahrein to bewaqt aatee hain lekin teri yaad har waqt aatee hain…
Tum milo na milo, milne ka gam nahi
Tum milo na milo, milne ka gam nahi
Tum paas se gujar jao, yeh milne se kam nahi
Mana ke tumhe hamari kadar nahi
Par jara unse poochho, jinhe ham haasil nahi
Pyaar ka meetha Ehsaas
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
Agar jahan me kambhakat ye mohabbat na hoti
Shararat na hoti, shikayat na hoti.
Naino mai kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekrari, na hote hum tanha,
Agar jahan me kambhakat ye mohabbat na hoti…
Log samajthe hain keh humne tumhe bhula rakha hain
Log samajthe hain keh humne tumhe bhula rakha hain,
Ye nahin jante ke kahin dil mein chupa rakha hain
Dekh na le koi meri aankho mein tasvir tumhari,
Humne apni palko ko is qadar jhuka rakha hain….
Logon ko kehte suna hai aksar
Logon ko kehte suna hai aksar
Zinda rahe to phir milenge
Magar is dil ne mahsoos kiya ki
Milte rahenge to zinda rahenge
Wo tum hi kya jisme hum nahi
Wo zindagi hi kya jisme pyar nahi,
Wo pyar hi kya jisme yaden nahi,
Wo yaden he kya jisme tum nahi,
Wo tum hi kya jisme hum nahi.
Yeh Dil Ho Gaya Tumhara
Yeh Dil Ho Gaya Tumhara,
Har Yaad Mein Ho Tum,
Pukarta Hai Tumhe,
Kyun Nahi Laut Aate Ho Tum.
Saansein Hain Chalti,
Har Saans Mein Ho Tum,
Tanha Ki Tanhaai Hai Roti,
Phir Bhi Khaamosh Ho Tum…
Khamosh the hum to magrur samajh liya
Khamosh the hum to magrur samajh liya ,
Chup hum hai to majboor samajh liya ,
Yeah apki galti hai ki hum itne karib the,
Fir bhi aapne se door samajh liya
Agar hum kahein aur wo muskaraa dein
Agar hum kahein aur wo muskaraa dein,
Hum unke liye zindgaani lutaa dein,
Har ek mod pe phool sajaa dein ,
Chalo zindagi ko mohabbat banaa dein.